🗞 UAE ne launch kiya nomination-based Golden Visa jo de lifetime residency

Hey dosto! Kya aapko pata hai Dubai ne Golden Visa ka rule badal diya hai? Ab na property kharidne ki zarurat hai aur na hi bade investment ki. Sirf AED 100,000 dekar aap lifetime residency le sakte ho. Chaliye 2 minute me poora samajhte hain.

1. Naya Golden Visa kya hai?

Dubai ne nomination-based Golden Visa launch kiya hai. Isme aapko property kharidne ya business me invest karne ki zarurat nahi.

Bas agar aap eligible ho to AED 100,000 (lagbhag 23.3 lakh rupees) ek baar ki fees dekar yeh visa mil jayega.

2. Kaun apply kar sakta hai?

IT professionals, teachers, health workers, content creators (jaise YouTubers), e-sports players, yacht owners ya koi bhi jinke paas UAE me contribute karne ki skill ya talent ho.

3. Yeh paise kahan jama hote hain?

Yeh paisa India me UAE ke authorised agency jaise Rayad Group ya OneVasco/VFS Global ke through jama hota hai.

4. Visa milne ke baad kya?

Ek baar visa mil jaye to renew nahi karna padta

Aap bina sponsor ke UAE me reh sakte hain

Apne family ko bhi sponsor kar sakte hain

“Dhyan rahe ki UAE ka standard of living high hai. Ghar ka rent, school aur medical kharch kaafi zyada ho sakte hain. Isliye apply karne se pehle background check, documents aur nomination letter poore ready rakhe.

“Toh dosto, yeh tha Dubai ka naya nomination-based Golden Visa. Agar aap bhi eligible ho aur AED 100,000 ek baar de sakte ho, toh yeh aapke liye ek golden chance hai.

Post pasand aaye toh like, share aur subscribe zaroor karein. Aur comment me likhe, aap kaunsi skill UAE lekar jana chahoge?

Stay connected with us for more details

Add a Comment

Your email address will not be published.